Thursday, November 26, 2009

NADI KI AATHMAKATHA

Mein nadi hu
kathor nahi hu
komal hu,
chanchal hu,
sab ki man-bhavan hu,
sab ki raaj dulaari hu.

Jeevan bastha hai,
mere kan-kan mein,
Amrith hai mere kan mein.

Janam huwa mera,
barfile pahado mein,
unhi pahado se hokar aayi hu.

AAthe aathe maine raasthein mein,
kya nahi dekha,
khule aasmaan ka soundarya,
vano ke oonche-unche vrikshya,
shabnami reshmi kaliyon aur,
phooloenki muskaan.

pahadoen se hokar,
vadiyon mein aayi mai,
oonchi-oonchi zaminon,
se uchalthe koodhthe,
hasthe gaate,
khusiyaan manathe,
kaatha hai saara safar maine,
Anth mein mein aayi,
samudra ke paas,
samudra mein jaakar,
jab main usmein mil gayi,
toh mujhe koi gum nahi huwa.

Apni kahani tumhe bathakar,
yahi sandesha dethi huki pyaare zindagi ke,
har pal mein tum,
soundarya ka paan karo,
sukh bhogo ullas karo,
taaki anthim samay mein,
kisi ki kami naa ho.

Meri hi tarah tum bhi,
Apne raasthe mein,
Aane waali har kathinayee,
ka saamna karo,
Jis prakar mere lagathar pravah se,
kathor pashan bhi,
komal ban jaathe hai,
usi prakar tum bhi,
Abni karuna se,
doosro ke man ke dwesh ko mita do,
Paropkar ke liye jeena seekho.

2 comments: