Kehthe hai woh pyaar hi hai,
Joh umeed ki kiran bankar,
Hum sab ki zindagi mein aathi hai.
Isi kiran ke sahare premi,
Chal padhthe hai apni,
Manzil ki ore,
Phir chahe lakh musibathein,
Unke raaston par,
Aa jaye.
Lekin kya sirf yeh,
Pyaar hai?
Meri nazar mein yeh pyaar,
Nahi hai,
Pyaar ka sirf yehi matlab,
nahi hai,
Mein Eeshwar ki banayi hui,
Is prakruthi se,
Har jeev-Janthu se,
Behatd pyaar karthi hu.
Is duniya mein lakhon,
Bura-eeya sahi,
Phir bhi is duniya se,
Mujhko behad pyaar hai.
Aapka bahoth bathoth shukriya,
Bhagwaan ki aapne itni,
Khoobsurath dharthi ki rachana ki hai.
Sunday, December 6, 2009
Thursday, November 26, 2009
NADI KI AATHMAKATHA
Mein nadi hu
kathor nahi hu
komal hu,
chanchal hu,
sab ki man-bhavan hu,
sab ki raaj dulaari hu.
Jeevan bastha hai,
mere kan-kan mein,
Amrith hai mere kan mein.
Janam huwa mera,
barfile pahado mein,
unhi pahado se hokar aayi hu.
AAthe aathe maine raasthein mein,
kya nahi dekha,
khule aasmaan ka soundarya,
vano ke oonche-unche vrikshya,
shabnami reshmi kaliyon aur,
phooloenki muskaan.
pahadoen se hokar,
vadiyon mein aayi mai,
oonchi-oonchi zaminon,
se uchalthe koodhthe,
hasthe gaate,
khusiyaan manathe,
kaatha hai saara safar maine,
Anth mein mein aayi,
samudra ke paas,
samudra mein jaakar,
jab main usmein mil gayi,
toh mujhe koi gum nahi huwa.
Apni kahani tumhe bathakar,
yahi sandesha dethi huki pyaare zindagi ke,
har pal mein tum,
soundarya ka paan karo,
sukh bhogo ullas karo,
taaki anthim samay mein,
kisi ki kami naa ho.
Meri hi tarah tum bhi,
Apne raasthe mein,
Aane waali har kathinayee,
ka saamna karo,
Jis prakar mere lagathar pravah se,
kathor pashan bhi,
komal ban jaathe hai,
usi prakar tum bhi,
Abni karuna se,
doosro ke man ke dwesh ko mita do,
Paropkar ke liye jeena seekho.
kathor nahi hu
komal hu,
chanchal hu,
sab ki man-bhavan hu,
sab ki raaj dulaari hu.
Jeevan bastha hai,
mere kan-kan mein,
Amrith hai mere kan mein.
Janam huwa mera,
barfile pahado mein,
unhi pahado se hokar aayi hu.
AAthe aathe maine raasthein mein,
kya nahi dekha,
khule aasmaan ka soundarya,
vano ke oonche-unche vrikshya,
shabnami reshmi kaliyon aur,
phooloenki muskaan.
pahadoen se hokar,
vadiyon mein aayi mai,
oonchi-oonchi zaminon,
se uchalthe koodhthe,
hasthe gaate,
khusiyaan manathe,
kaatha hai saara safar maine,
Anth mein mein aayi,
samudra ke paas,
samudra mein jaakar,
jab main usmein mil gayi,
toh mujhe koi gum nahi huwa.
Apni kahani tumhe bathakar,
yahi sandesha dethi huki pyaare zindagi ke,
har pal mein tum,
soundarya ka paan karo,
sukh bhogo ullas karo,
taaki anthim samay mein,
kisi ki kami naa ho.
Meri hi tarah tum bhi,
Apne raasthe mein,
Aane waali har kathinayee,
ka saamna karo,
Jis prakar mere lagathar pravah se,
kathor pashan bhi,
komal ban jaathe hai,
usi prakar tum bhi,
Abni karuna se,
doosro ke man ke dwesh ko mita do,
Paropkar ke liye jeena seekho.
Subscribe to:
Posts (Atom)
