Jeevan ke safar mein
aage badthe badthe,
chali aayi mai
Kakatiya Vishwa-vidyalay mein,
Pichle ek saal se
kuch khatthe-kuch meethe lamhe
sajoye hai mann mein.
Prayog-shaala mein bithaya waqth,
jab doston ko chutkuley sunaye,
jab paath sunthe-sunthe
ki gayi shararthi tippaniyon
ko yaad kiya,
jab pariksha likthe samay,
prashna-pathra ko dekhkar,
hum sab ek saath hans padhe,
in lamho ko yaad kiya toh
labon par anayaas hi
ek muskaan aa gayi.
Gurujano ka prothsahith karma,
Hame hamesha prerith karma,
is vishwa-vidyalay ki khoobi hai.
Kaun jaane yeh pal,
kab yaad aayenge,
Shaayad hum in lamhon ko,
kabhi bhool na payenge
Saturday, November 12, 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)
